Friday, September 11, 2009
Sunday, July 19, 2009
nazar -nazar ki baat hai
nazar -nazar ki baat hai
kabhi same -baraat hai
to kabhi gamo ki raat hai
kahi mahekta hua baag hai
to kahi patjhado ka saath hai
nazar -nazar ki baat hai
har din ho milan
aisa jaroori to nahi
ishk me mahboob
saath ho aisa jaroori to nahi
ehsas-e -mohabat hi kabhi
kafi hai
ta umra bitane ke liya
nazar -nazar ki baat hai
kabhi koi saath hokar
apna nahi hota
kabhi kise ke na hone ka
ehsas zindage bahr saath hota hai
ishk ye nahi ki
har pal wo saath ho
ishq ye hai ki
ehsaas-e-mohabat har pal ho
har koi itna khusnasib to nahi
ki har pal dedar -e- mohabbat ho
nazar -nazar ki baat hai
kabhi same -baraat hai
to kabhi gamo ki raat hai
Ghar me aag lagi
Ghar me aag lagi
mai baitha maykhana
ektaraf dil jale
ektaraf ghar
kisko bachayoo mai
Ghar me aag lagi
mai baitha maykhana
ghar to phir ban jayega
mitti gara pani
phir jud jayega
dil ko kaisa jodoon
ek baar jo tuta to
phir na jud payega
Ghar me aag lagi
mai baitha maykhana
Sunday, May 3, 2009
Do pal sukoon ke
Do pal sukoon ke
Khojta hai aadmi
khwahise haazar man me rakhkar
Sukoon ki jindagi chahta hai aadmi!!
Laga hai har koi khud ko saabit karne
har kisi ko sikandar hai banna yaha
phir bhi har kise se
pyar pana chahta hai aadmi
aasman me hai udaan bharni
Chand ke us paar hai jaana
phir bhi mitti ki sondhi mahak
chahta hai aadmi
Na jana kya saabit karna
chahta hai ye aadmi
Waqt jab gujar jata hai
to aahe bharta hai ye aadmi
Do pal sukoon ke
phir bhi Khojta hai aadmi
Mujha manjil ki talash nahi
Raste ban gaye
Jo aawaj lagayi
to kafila mil gaya
Jo manzilo ki talash me honge
Wo aur honge
Hume to manzile doodanti hai
kahne ko
main to aawara hoon
Bhatkata to hoon idhar udhar
na koi manzil na koi mahfil
Kya karoon
Yayawar jo hoon mere dosto
yayawar ko kaha
manzilo ki talash
jidhar ruka wahi uski manzil
Jidhar chala diya wahi uska rasta
Jinsa mila wahi
Uska kafila
Jidhar so gaya
wahi uska ghar
Saari duniya hai uski
Wo sari duniya ka
Mai aawara hoon
yayawar hoon mere dosto
Mujha manjil ki talash nahi!!
Mujha manjil ki talash nahi!!!!!!!!!!!!!!!
Tuesday, January 27, 2009
kya karoon
kya karoon
he sashwatpramay
do gyan ka aashish mujha
do budhi vivek
he nirvishesh nirbrahma
do sakti ka vardaan
he param pita parmeshwar
do abhaydaan
he anant mahan
kya karoon
bhatakta phir raha hoon
jeevan ke andehro me
nikla tha ghar se tujha doodhna
khud ko hi bhul gaya hoon
chahta hua tera sahara
he dayasindhu he karunakar
duniya me lalach hai naye naye
nit din phasta jata hoon
satya ki khoj me nikla tha
apni aatma ko gavata jata hoon
kripa karo
he sarveshwar
tum hi sab kuch hoon
ye maya tumhari hai
tum hi satya ho
tum hi asataya
tum hi ho in dono se mukt
tum hi ho mayapati
aur maya se virakt
tum hi ho srishti ke rachnakar
aur sanharak bhi ho tum hi hoon
tum aadi ho tum anant
kaisa karu gurgaan tumhara
tum to ho param sataya
meri vinti suno
he akhand swarup
mujko apne me mila lo
jaisa boond sagar me
kripa karoo,kripa karoo
kya karoon
do gyan ka aashish mujha
he sashwatpramay