Monday, December 22, 2008

Maun

maun ki hai kya paribhasha
shanti ek sannata
na sabad hai na bhav
sarvatra shanti hi shanti
maun bhi hai ek bhasha
shanti ki bhasha
khatam hota bhaya gyan
tirohit hota jaha agyan
maun me jab maun hoo
na koi kampan ho
na bhavo mein
na vicharoo me
sarvatra maun hoo
tab samjho maun hoo
par jo samjho
to phir kaha maun hoo
.maun ki hai kya paribhasha
shanti ek sannata

Umeed

Umeed hai to Zindagi hai

zindagi hai toRaste hai

raste hai to safar hai

safar hai to sukh aur dukh hai

sukh hai to khusiya hai

dukh hai to

unse ladne ki himmat hai

himmat hai

to haar hai yaa jeet

haar hai to

phir ek naya prayas hai

jeet hai to

jeena ki nayi umang hai

umang haito

phir naye raste hai

nayi manzila hai

aur yahi zindagi hai