Sunday, December 6, 2020

haare hue dil

dojanu hoke aaye the mere paas socha tha kam se kam wo hi ahtaram karenge hamara hamko kya maalom tha aakhri nastar dil me wo hi utarenge lahu luhan to jindagi pahle se hi thi aaye the wo do pal ka sakoon dene hamko kya maalom tha ki wo dil ko bhi lahu luhan kar denge ummeedo ne dam to pahle hi tod diya tha wo aaye the hauslo ko parwaaj dene hamko kya maalom tha ki jeene ki aankhri aarjo ko bhi khatam kar denge yayawar- haare hue dil aur toote hue ghar ka koi sarbara nahi hota ye duniya hai mere dost bina matlab ke yu hi yaha koi fida nahi hota

Ishq ki roshnai

jis pe ishq roshna hua ho wo kab is duniya ka hua...

Bewafa jindagi

ye to maut hai jisne wafa ka naam roshan kar rakha hai verna jindagi tu to badi bewafa si nikali...