Thursday, March 18, 2010

My love letter

AAj jab mai prempatra likhne baitha
to socha kya likhoo
kaisa likhoo is prempatra ko
kaiyoo se suna tha
kaafi kuch suna tha ki
jab koi ho pasand
kahni ho jab dil ki baat
jab jaba na de dil ka saath

to utha lo kalam dawat
aur baya kar do
pyar ke afsanoo ko
kagaj ke panno par

chalo itna to samajh me aaya

ki payar ki kalam se
jajbatoo ki syahi se

prempatra dil par likha jaate hai

par muskil ki ghari ab thi aayi
kaisa likhoo ye to samajh me aaya
par kya likhoo

kafi jado-jahad ki
dhyan lagaya pandit bulaya

par kuch smajh na aaya

tabhi dur se chalta hua
ek vichaar aaya

jab sab karte hai copy
to mujha kyo hai itni aapa-dhapi

apne is vichaar ko khub saraha
garv se na mai phula samaya

pyar ki manzil par
ek kadam aage ko badaya

suruaat ki devdaas se
katam hote hote wo aa gayi pankaj udaas tak
baat phir bhi na bani

socha shakespeare aur keats se kyoun na matter uthao
aur prempatra apna saandar banaou

eric sehgal ki love story padi
padi john keats ki La Belle Dame sans Merci
besak honge wo accha lekhak
par apne samajh me
ek hi baat aayi

bachha ye apne bas ki baat nahi
bachha ye apne bas ki baat nahi............................