Wednesday, August 28, 2019

ek cup chai....

jab bhi chai ki chuskiya hongi kuch khatti kuch meethi baatien hongi tumko hum yaad aayenge.. jab bhi aayega gussa bewajah ki baato par Tumko hum yaad aayenge jab bhi koi baatien banayega kaam na karne ke hazaar bahane batayega har pal bus apni hi sunayega Tumko hum yaad aayenge. tum soochoge ki zindagi ek safar hai yaha to hazzaroo ki bheed' hai aaj nahi to kal Koi aur hoga mai bhi yahi kahta hoo ki kal koi aur hoga par jab bhi baat aayegi rullane walo me to naam mera hi pahla hoga bhool tum waise bhi jaouge humko par jab bhi akele me chai hogi to zehan me tumhare mai hi hoonga tum chao ya na chao tumko hum yaad aayenge.

Friday, August 2, 2019

kya baat

baat aankho se aankho me ho jaye
aur kisi ko khabar na ho paye to kya baat
tum hame dekhte raho ham tumhe
aur pyar parwan chadh jaye kya baat
dil ke samandar me sailaab umad jaye
aur hotho pe dilbar ka naam na aaye kya baat
pyar ka majmoon liye teri saanso ko
apni saanso me jajb kar loo kya baat ...
tum meri ho aur mai tumhara
ye tumhara dil samjh le aur hamara to kya baat...