Sunday, July 12, 2020

Common Man

It's a journey of common man who started his life with struggle since he born. He grew like a pine tree straight with sharp thought process a soft heart covered with hard bark. In the mid of his voyage many thunders came but one thunder forced him to look back his life journey again.Its story about how he grew and assessment of his past life what he did and after that trying to find new path for life...

Maje loo bus Jindagi ke khel ke

Jo tum ye sochti hoo Suljha logi jindagi ki paheliya Ye aur ulajhti jayengi Jitna koshish karogi Girahe utni hi padti jayengi Chod do ye ulhajane aur suljhane ke khel ko Aaye ho yaha kuch der ke liye Tum to maje loo bus Jindagi ke khel ke

Wo jo jheel thi naa...

Wo jo jheel thi naa... jaha aksar hawao ka rukh ... tere aane ke baad teh ho jaata tha... teri ye suljhi aur sawari late bigad si jaati thi... Aaj barso baad waha gaya tha mai... Teri khusbo abhi bhi yaha ki fizao me hai Wo jo kinaaro pe ham baitha karte the...waha pe tere pairo ki nisaan abhi bhi hai... Aisa lagta hai jaise barso se koi yaha naa aya hoo... Bus kuch dhool se jama ho gayi hai Yu hi akele baitha tha Socha kyu na barso se padi is waqt ki dhool ko Tere yaado ke sahare hata doo Tera yu hi mere kandhe pe Sir rakh ke so jaana... Aur kisi jaha me chale jaana Aaj barso baad waha gaya tha mai Un tej hawao ne bus itna poocha... Itne barso baad aaye hoo. Wo bhi akele...apni jindagi kai aur chod aaye ho.

ye mera dil nahi sarai hai

Koi chal gaya koi jane ki taiyari me hai... Yun lag raha ki ye mera dil nahi sarai hai

Badi mahfile looti hai....

Badi mahfile looti hai teri is khankhanati awaj ne Phir kyu itana soonapan hai aaj tere dil me

Ye jindagi hai mere dost

Ye jindagi hai mere dost . ....bade masail hai iske Kabhi yu hi anjan ban ke milo...bada sakoon sa milega is dil ko