Friday, July 25, 2008

Doobta suraj

ye shaam ki khamosh udasi
jaise kuch kahna chahti hai mujhse
door kahi aasmaan me doobta

hua laal suraj
doobte doobte koi
sandesha deta jaa raha hai…

sayad wo kah raha ki
ae hasne walo
has lo…

mai doob nahi raha hoon
mai to ugne ke taayaari kar raha hoon…
ek naye aabha ek nayi roshni
ek naye divas ke saath…

raat lambi hai to kya
andehra ghanghor hai
to kya hua
mrityu kahin jeevan se
vijayi ho pai hai…
bus jeena ki lalak ho
mrityu to ahsaas hai
jeevan ke hone ka…

ye andehra hi to hai
jo bodh karata hai
logo ko mera hone ka
mai kal phir aauounga
ek naye vishwaas ke saath

mai doobta hua suraj nahi

mai doobta hua suraj nahi.......................

Monday, July 21, 2008

saavan

saavan aayo…
ghumad-ghumad baadar chayo
saavan aayo…
kajrare kaare
berange badrange badar chayo
saavan aayo

dekh-dekh badara
man harshayo…
chahun dish hariyali chayo
nayi -nayi dubein ugti
nav kislay kopal pallav
dekh-dekh
sab harshit hote

chahun dish khushali chayo
saavan aayo
kahi savan sabke man ko harshata
to kisi ke nayano me
neer chalak jata
karti intjaar priyatam ka
savan man me agan laga jata
pichle baras jo savan tha manbhavan
wo ab bin pritam man me agan lagata

saavan aayo
ghumad-ghumad baadar chayo