Sunday, August 24, 2008

jeevan-geet

swapno ki nit sej saja
mand-mand muskata hoon...

adhron par jeevan ka geet liya
karmpath par pag-pag badhta jata hoon...

jeevan garal ka pyala
hotho se laga
harshit hota jata hoon...

antarman ke amrit ko
sab par megh ban barsata hoon...

jeevan ka swagat karta hoon
mrityu ka abhinandan
nahi kasht kisi me
har pal ye man ko samjata hoon...

chakra ye vidhi ka hai
rach di vidhan ne ye srishti...

jo yaha pe aaya hai
usko jeevan-sangrash hai karna
ab chahe phoolo ki sej saje
ya karm path par bikhre hoo kaate...
main to adhron pejeevan ka geet liya
mrityu se aalingan ko
aage badhta jata hoon...

swapno ki nit sej saja
mand-mand muskata hoon.

Thursday, August 7, 2008

he manav !

he manav !
kyo hai tu nirash
mat ho udaas
uth tu prachand vag se
kar de andhkaar ka vinash
tu to hai gyani
bana baitha hai kyoun tu agyani
khud ka tu dhyan kar
he gyan waan he aatmawaan
he manav kyo hai
tu nirash
mat ho udaas
tera path ke katte
tuje teri manjil tak pauhchaenga
jo tu inse dar jayega
manjil tak na paunch payega
tu veer hai deer hai
sagar sa gambheer hai
uth khada ho
manjil ki taraf kadam bada
muskila tera path rok sake
itna sahaas unme kaha
he manav
mat ho nirash!

Wednesday, August 6, 2008

mai kavi nahi

mai kavi nahi
jo chando ki bhasha bolu
mai vakta nahi
jo shabdo se khelu
likhta hoon wahi
jo mukhrit hota
mera antahsthal me
mai kavi nahi
jo chando ki bhasha bolu
na sabdo ka gyan muje
na sortha chand aur chaupai janu
tark gyan vigyan
darshan sahitya sabse anjaan
mai to bhavo ka swami hoo
bhavo me rahta hoon
ye bhav hi mera le leta
chando ka roop
ban jaati kabhi
koi kavita kahani
kahte log kavi mujko
mai kavi nahi
jo utha lekhni kavita likh doo
jab bhav hai aate
kavita khud ban jati
mai kavi nahi
mai kavi nahi
jo chando ki bhasha bolu
mai vakta nahi
jo shabdo se khelu............