Sunday, August 24, 2008

jeevan-geet

swapno ki nit sej saja
mand-mand muskata hoon...

adhron par jeevan ka geet liya
karmpath par pag-pag badhta jata hoon...

jeevan garal ka pyala
hotho se laga
harshit hota jata hoon...

antarman ke amrit ko
sab par megh ban barsata hoon...

jeevan ka swagat karta hoon
mrityu ka abhinandan
nahi kasht kisi me
har pal ye man ko samjata hoon...

chakra ye vidhi ka hai
rach di vidhan ne ye srishti...

jo yaha pe aaya hai
usko jeevan-sangrash hai karna
ab chahe phoolo ki sej saje
ya karm path par bikhre hoo kaate...
main to adhron pejeevan ka geet liya
mrityu se aalingan ko
aage badhta jata hoon...

swapno ki nit sej saja
mand-mand muskata hoon.

1 comment:

Anant said...

Bahut khub, sachmuch ya kavita parh hama bahut aacha laga, jivan or mrituy shashwat satya hai or hame isa sawikar karna hi chahiya...kafi aacha sandesh hai .... its good keep it up ... kuch tikha katash sa bhara hua vyang likhna ka bhi pryas kare jo samajik buraiyo par aadharit ho...