Monday, December 22, 2008

Maun

maun ki hai kya paribhasha
shanti ek sannata
na sabad hai na bhav
sarvatra shanti hi shanti
maun bhi hai ek bhasha
shanti ki bhasha
khatam hota bhaya gyan
tirohit hota jaha agyan
maun me jab maun hoo
na koi kampan ho
na bhavo mein
na vicharoo me
sarvatra maun hoo
tab samjho maun hoo
par jo samjho
to phir kaha maun hoo
.maun ki hai kya paribhasha
shanti ek sannata

No comments: