Friday, May 9, 2014

Vidroh...

Ab vidroh hoga
satta me baithe logo se droh hoga
Ki mund par mund katenge
Ki yudh ab prachand hoga
Ki hathoo me ab khadag hoga
Ki ran ab prachand hoga

Ab vidroh hoga
satta me baithe logo se droh hoga

Baj chuki hai ranbheriya
Ki suru ho gaya hai premgaan
band karo premgaan
ki ab sirf prandaan hoga
praandaan hoga,
jawalo ko kaudhne do hridaya me
ubalne do rakt ko dhaminyo me
ki ab prandaan hoga prandan

Ab vidroh hoga
satta me baithe logo se droh hoga

Na rukega Na thakega
Ki ab vinash hoga
Vinash hoga vinash hoga
Ki bahut hua vinash ka srijan
ab srijan ke liya vinah hoga
Nasht hone do sabhyatao ko
Dah jaane do is samaj ko
Ki ab is khandhar par
Ek naveen samaj ka srijan hoga

Ab vidroh hoga
satta me baithe logo se droh hoga

Khwahish

khud ke liya jo hum maut ki dua kare 
to wo bhi khuda ko kabool nahi
unka kya kahe jo sochte bhi nahi
aur unki khwahishe haqiqat ban jati hai.................

Mukhoota

kaun khus hai yaha ... 
Sabhi ko gam hai ... 
Haale ae dil batate kaha .... 
Har raaj chipate hai log  yaha.... 
Maine soocha mai hi hoo udaas  yaha.......
 Dekha to har koi mukhoota lagata hai yahai.... 
Har koi apna chaehra chupata hai yahaa:.....
jhooth hi sahi par muskurata hai yaha.......
kaun khus hai yaha ... 
Sabhi ko gam hai 

Nikhaar

tere chere par jo ye nikhar hai is umar ka hai verna khoobsurat chere to bahut hai...

Sukoon-e-jindagi

kuch udas hoo zindagi se ...kuch mayoous hoo apno se...kahte to sab hai par waqt pe dil thod dete hai...ki kuch sukoon bhi hai...ki jhooth hi sahi kam se kam kahte to hai...ki tum mere hooo...

meri chahat

ye mere akelepan ki shararat hai .... Ya meri chahat hai .. Ki har aaina me bus.... Teri hi surat hai

khake-a-arsh

khake-a-arsh dekh ke mera kisi ne kaha jane kaun sa gam tha dekho marne ke baad bhi jal raha...

Ishq

jo itna aasan hota ishq karna ...to har koi yaha dewaana kahlata...

aarjoo-a-jindagi

ai jindagi meri majboori to dekh ....ki chah ke bhi mai tujhe chod nahi sakta...aur jo aarjoo-a-jindagi hai ...aaj wahi paas najar nahi aata

ek nazam

jo izzajat ho teri to...ek najam likh doo teri khoobsurati par....beete hue lamhe se ek lamha phir se bita loo...jo tu de ijjajat to aaj phir se...milan ka wo geet gunguna loo..jo tu de ijjat too...

Khandhar

dah jane do is khandhar koo....
rudiyo ke andhvishwaso ke is sahchar koo...
ki koi nav sriijan ho ....
ho nav nirman naye samaj ka...

Ai jindagi..

ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya...
meri hi hatheli chotti thi...
ki usme sama na saka... 
boond boond karke rista raha...
mai har pal use bachane ki koshis me raha ...
jo bacha tha use bhi gavata raha ...
ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya.. 
har pal kuch aur jyada ki umeed me....
kuch aur naye ki umeed me .....
apni anjuli ke amrit ko vish banata raha ....
tune to amrit ka prasad diya tha ...
aur meri ichaao ne use aatma ka vish bana diya....
ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya.....
mai is layak nahi...
ki tere pyaar ko sambhaal saku .....
tere jeevan ke aashirwad ko prapt kar saku....
rahne de mujhe ab vasna ki in andheri galiyo...
ki mai is kaabil nhi ki ...
tera pyaar paa saku...
ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya...