Friday, May 9, 2014

Ai jindagi..

ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya...
meri hi hatheli chotti thi...
ki usme sama na saka... 
boond boond karke rista raha...
mai har pal use bachane ki koshis me raha ...
jo bacha tha use bhi gavata raha ...
ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya.. 
har pal kuch aur jyada ki umeed me....
kuch aur naye ki umeed me .....
apni anjuli ke amrit ko vish banata raha ....
tune to amrit ka prasad diya tha ...
aur meri ichaao ne use aatma ka vish bana diya....
ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya.....
mai is layak nahi...
ki tere pyaar ko sambhaal saku .....
tere jeevan ke aashirwad ko prapt kar saku....
rahne de mujhe ab vasna ki in andheri galiyo...
ki mai is kaabil nhi ki ...
tera pyaar paa saku...
ab bus kar ai jindagi....
bahut pyaar tune hame diya...

No comments: