Monday, April 20, 2020
paimana na tod saaki
paimana na tod saaki
Ki mera dil to pahle se hi toota hai..
Paimana na tod
Kuch boondo ka
hisaab abhi baaki hai
is paimaane se
aur kuch sannso ka
is dil se..
Paimana na tod saaki
un chand boondo ki khaatir
paimana na tod,,
ki tute hue dil ki
aas abhi baaki hai
paimana na tod saaki
Ki mera dil to pahle se hi toota hai..
यूँ ही नहीं सहरा में रहना पसंद
यूँ ही नहीं सहरा में रहना पसंद ...बहुत जख़्म खाये है दिल पर। ..
आज का वक़्त जरूरतो का है मोहबत्त का नाम न दो ...
जल रहा हूँ मै।
जल रहा हूँ मै। । धुँआ कैसे दिखेगा।
कि तुमने तो आँखों पर
हया के परदे डाल रखे है। .
मेरा जलना कहा दिखेगा। ।
prem ki reet bhi anokhi hoti hai...
prem ki reet bhi anokhi hoti hai... Yaha roshni bhi dil ke jalne par hoti hai...
jindagi ki chah nahi...
jindagi ki chah nahi...
ki wo mujhe sukoon de nahi sakti....
aur maut bebas hai mere aage....
ki chah ke bhi mere paas aa nahi sakti..
itna mat uljoo muhse....
itna mat uljoo muhse....
ki suljhana muskil ho jaye..
ye tumhari latte nahi hai..
meri jindagi hai...
gumnami ke andhero me kho jaane ka man hai
gumnami ke andhero me kho jaane ka man hai
khud se bhi door kahi chale jaane ka man hai
ki jindagi me koi ab aas nahi dikhayi deti hai....
phir bhi jinda hoo to ye naa soch
ki mujhe sirf baat hawa me udane ki aadat hai...
wajah bus itni hai ki
chahta nahi falsafa-e-jindagi naakami hoo
ujaale me marne ki ek chahat kisi kone me baaki hai...
pooch naa mera pata
pooch naa mera pata..
ki mai kahi tharata nahi..
almast hoo yayavar hoo..
aaj yaha to kal waha...
ishq ki bhehosi
aajkal khoye hue hai hum
ishq ki bhehosi me...
katra -katra dooba hui
uske aankho ki madhoshi me...
Jab Jindagi ki shaam dhalne lage
Jab Jindagi ki shaam dhalne lage...
Aur tanhai tumhe apne aagosh me lene lage...
tab ek baar apne dil ke band
darwaaje pe dastak de dena...
mai phir aa jaounga...
tumhari tanha jindagi me rang bharne...
Subscribe to:
Posts (Atom)