dojanu hoke aaye the mere paas
socha tha kam se kam wo hi ahtaram karenge hamara
hamko kya maalom tha
aakhri nastar dil me wo hi utarenge
lahu luhan to jindagi pahle se hi thi
aaye the wo do pal ka sakoon dene
hamko kya maalom tha
ki wo dil ko bhi lahu luhan kar denge
ummeedo ne dam to pahle hi tod diya tha
wo aaye the hauslo ko parwaaj dene
hamko kya maalom tha ki
jeene ki aankhri aarjo ko bhi khatam kar denge
yayawar- haare hue dil aur toote hue ghar ka
koi sarbara nahi hota
ye duniya hai mere dost
bina matlab ke yu hi yaha koi fida nahi hota
No comments:
Post a Comment