Sunday, October 2, 2022

draft

prem ki reet bhi anokhi hoti hai... Yaha roshni bhi dil ke jalne par hoti hai... itna mat uljoo muhse.... ki suljhana muskil ho jaye.. ye tumhari latte nahi hai.. meri jindagi hai... aajkal khoye hue hai hum ishq ki bhehosi me... katra -katra dooba hui uske aankho ki madhoshi me... Koi chal gaya koi jane ki taiyari me hai... Yun lag raha ki ye mera dil nahi sarai hai Wo jo jheel thi naa... jaha aksar hawao ka rukh ... tere aane ke baad teh ho jaata tha... teri ye suljhi aur sawari late bigad si jaati thi... Aaj barso baad waha gaya tha mai... Teri khusbo abhi bhi yaha ki fizao me hai Wo jo kinaaro pe ham baitha karte the... waha pe tere pairo ki nisaan abhi bhi hai... Aisa lagta hai jaise barso se koi yaha naa aya hoo... Bus kuch dhool se jama ho gayi hai Yu hi akele baitha tha Socha kyu na barso se padi is waqt ki dhool ko Tere yaado ke sahare hata doo Tera yu hi mere kandhe pe Sir rakh ke so jaana... Aur kisi jaha me chale jaana Aaj barso baad waha gaya tha mai Un tej hawao ne bus itna poocha... Itne barso baad aaye hoo. Wo bhi akele...apni jindagi kai aur chod aaye ho. तेरे ख्यालो में हम आज भी जी लेते हैं...वर्ना जिंदा तो रहना हमने कब का ही छोड़ दिया.... swapno ki nit sej saja mand-mand muskata hoon... adhron par jeevan ka geet liya karmpath par pag-pag badhta jata hoon... jeevan garal ka pyala hotho se laga harshit hota jata hoon... antarman ke amrit ko sab par megh ban barsata hoon... jeevan ka swagat karta hoon mrityu ka abhinandan nahi kasht kisi me har pal ye man ko samjata hoon... chakra ye vidhi ka hai rach di vidhan ne ye srishti... jo yaha pe aaya hai usko jeevan-sangrash hai karna ab chahe phoolo ki sej saje ya karm path par bikhre hoo kaate... main to adhron pejeevan ka geet liya mrityu se aalingan ko aage badhta jata hoon... swapno ki nit sej saja mand-mand muskata hoon. nazar -nazar ki baat hai nazar -nazar ki baat hai kabhi same -baraat hai to kabhi gamo ki raat hai kahi mahekta hua baag hai to kahi patjhado ka saath hai nazar -nazar ki baat hai har din ho milan aisa jaroori to nahi ishk me mahboob saath ho aisa jaroori to nahi ehsas-e -mohabat hi kabhi kafi hai ta umra bitane ke liya nazar -nazar ki baat hai kabhi koi saath hokar apna nahi hota kabhi kise ke na hone ka ehsas zindage bahr saath hota hai ishk ye nahi ki har pal wo saath ho ishq ye hai ki ehsaas-e-mohabat har pal ho har koi itna khusnasib to nahi ki har pal dedar -e- mohabbat ho nazar -nazar ki baat hai kabhi same -baraat hai to kabhi gamo ki raat hai