Sunday, October 2, 2022
draft
prem ki reet bhi anokhi hoti hai... Yaha roshni bhi dil ke jalne par hoti hai...
itna mat uljoo muhse.... ki suljhana muskil ho jaye.. ye tumhari latte nahi hai.. meri jindagi hai...
aajkal khoye hue hai hum ishq ki bhehosi me... katra -katra dooba hui uske aankho ki madhoshi me...
Koi chal gaya koi jane ki taiyari me hai... Yun lag raha ki ye mera dil nahi sarai hai
Wo jo jheel thi naa... jaha aksar hawao ka rukh ... tere aane ke baad teh ho jaata tha...
teri ye suljhi aur sawari late bigad si jaati thi... Aaj barso baad waha gaya tha mai...
Teri khusbo abhi bhi yaha ki fizao me hai Wo jo kinaaro pe ham baitha karte the...
waha pe tere pairo ki nisaan abhi bhi hai... Aisa lagta hai jaise barso se koi yaha naa aya hoo...
Bus kuch dhool se jama ho gayi hai Yu hi akele baitha tha Socha kyu na barso se padi is waqt ki dhool ko
Tere yaado ke sahare hata doo Tera yu hi mere kandhe pe Sir rakh ke so jaana...
Aur kisi jaha me chale jaana Aaj barso baad waha gaya tha mai Un tej hawao ne bus itna poocha...
Itne barso baad aaye hoo. Wo bhi akele...apni jindagi kai aur chod aaye ho.
तेरे ख्यालो में हम आज भी जी लेते हैं...वर्ना जिंदा तो रहना हमने कब का ही छोड़ दिया....
swapno ki nit sej saja
mand-mand muskata hoon...
adhron par jeevan ka geet liya
karmpath par pag-pag badhta jata hoon...
jeevan garal ka pyala
hotho se laga
harshit hota jata hoon...
antarman ke amrit ko
sab par megh ban barsata hoon...
jeevan ka swagat karta hoon
mrityu ka abhinandan
nahi kasht kisi me
har pal ye man ko samjata hoon...
chakra ye vidhi ka hai
rach di vidhan ne ye srishti...
jo yaha pe aaya hai
usko jeevan-sangrash hai karna
ab chahe phoolo ki sej saje
ya karm path par bikhre hoo kaate...
main to adhron pejeevan ka geet liya
mrityu se aalingan ko
aage badhta jata hoon...
swapno ki nit sej saja
mand-mand muskata hoon.
nazar -nazar ki baat hai
nazar -nazar ki baat hai
kabhi same -baraat hai
to kabhi gamo ki raat hai
kahi mahekta hua baag hai
to kahi patjhado ka saath hai
nazar -nazar ki baat hai
har din ho milan
aisa jaroori to nahi
ishk me mahboob
saath ho aisa jaroori to nahi
ehsas-e -mohabat hi kabhi
kafi hai
ta umra bitane ke liya
nazar -nazar ki baat hai
kabhi koi saath hokar
apna nahi hota
kabhi kise ke na hone ka
ehsas zindage bahr saath hota hai
ishk ye nahi ki
har pal wo saath ho
ishq ye hai ki
ehsaas-e-mohabat har pal ho
har koi itna khusnasib to nahi
ki har pal dedar -e- mohabbat ho
nazar -nazar ki baat hai
kabhi same -baraat hai
to kabhi gamo ki raat hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment