Sunday, December 6, 2020
haare hue dil
dojanu hoke aaye the mere paas
socha tha kam se kam wo hi ahtaram karenge hamara
hamko kya maalom tha
aakhri nastar dil me wo hi utarenge
lahu luhan to jindagi pahle se hi thi
aaye the wo do pal ka sakoon dene
hamko kya maalom tha
ki wo dil ko bhi lahu luhan kar denge
ummeedo ne dam to pahle hi tod diya tha
wo aaye the hauslo ko parwaaj dene
hamko kya maalom tha ki
jeene ki aankhri aarjo ko bhi khatam kar denge
yayawar- haare hue dil aur toote hue ghar ka
koi sarbara nahi hota
ye duniya hai mere dost
bina matlab ke yu hi yaha koi fida nahi hota
Bewafa jindagi
ye to maut hai jisne wafa ka naam roshan kar rakha hai
verna jindagi tu to badi bewafa si nikali...
Sunday, July 12, 2020
Common Man
It's a journey of common man who started his life with struggle since he born. He grew like a pine tree straight with sharp thought process a soft heart covered with hard bark. In the mid of his voyage many thunders came but one thunder forced him to look back his life journey again.Its story about how he grew and assessment of his past life what he did and after that trying to find new path for life...
Maje loo bus Jindagi ke khel ke
Jo tum ye sochti hoo
Suljha logi jindagi ki paheliya
Ye aur ulajhti jayengi
Jitna koshish karogi
Girahe utni hi padti jayengi
Chod do ye ulhajane aur suljhane ke khel ko
Aaye ho yaha kuch der ke liye
Tum to maje loo bus
Jindagi ke khel ke
Wo jo jheel thi naa...
Wo jo jheel thi naa...
jaha aksar hawao ka rukh ...
tere aane ke baad teh ho jaata tha...
teri ye suljhi aur sawari late bigad si jaati thi...
Aaj barso baad waha gaya tha mai...
Teri khusbo abhi bhi yaha ki fizao me hai
Wo jo kinaaro pe ham baitha karte the...waha pe tere pairo ki nisaan abhi bhi hai...
Aisa lagta hai jaise barso se koi yaha naa aya hoo...
Bus kuch dhool se jama ho gayi hai
Yu hi akele baitha tha
Socha kyu na barso se padi is waqt ki dhool ko
Tere yaado ke sahare hata doo
Tera yu hi mere kandhe pe
Sir rakh ke so jaana...
Aur kisi jaha me chale jaana
Aaj barso baad waha gaya tha mai
Un tej hawao ne bus itna poocha...
Itne barso baad aaye hoo.
Wo bhi akele...apni jindagi kai aur chod aaye ho.
ye mera dil nahi sarai hai
Koi chal gaya koi jane ki taiyari me hai...
Yun lag raha ki ye mera dil nahi sarai hai
Badi mahfile looti hai....
Badi mahfile looti hai teri is khankhanati awaj ne
Phir kyu itana soonapan hai aaj tere dil me
Ye jindagi hai mere dost
Ye jindagi hai mere dost . ....bade masail hai iske
Kabhi yu hi anjan ban ke milo...bada sakoon sa milega is dil ko
Monday, April 20, 2020
paimana na tod saaki
paimana na tod saaki
Ki mera dil to pahle se hi toota hai..
Paimana na tod
Kuch boondo ka
hisaab abhi baaki hai
is paimaane se
aur kuch sannso ka
is dil se..
Paimana na tod saaki
un chand boondo ki khaatir
paimana na tod,,
ki tute hue dil ki
aas abhi baaki hai
paimana na tod saaki
Ki mera dil to pahle se hi toota hai..
यूँ ही नहीं सहरा में रहना पसंद
यूँ ही नहीं सहरा में रहना पसंद ...बहुत जख़्म खाये है दिल पर। ..
आज का वक़्त जरूरतो का है मोहबत्त का नाम न दो ...
जल रहा हूँ मै।
जल रहा हूँ मै। । धुँआ कैसे दिखेगा।
कि तुमने तो आँखों पर
हया के परदे डाल रखे है। .
मेरा जलना कहा दिखेगा। ।
prem ki reet bhi anokhi hoti hai...
prem ki reet bhi anokhi hoti hai... Yaha roshni bhi dil ke jalne par hoti hai...
jindagi ki chah nahi...
jindagi ki chah nahi...
ki wo mujhe sukoon de nahi sakti....
aur maut bebas hai mere aage....
ki chah ke bhi mere paas aa nahi sakti..
itna mat uljoo muhse....
itna mat uljoo muhse....
ki suljhana muskil ho jaye..
ye tumhari latte nahi hai..
meri jindagi hai...
gumnami ke andhero me kho jaane ka man hai
gumnami ke andhero me kho jaane ka man hai
khud se bhi door kahi chale jaane ka man hai
ki jindagi me koi ab aas nahi dikhayi deti hai....
phir bhi jinda hoo to ye naa soch
ki mujhe sirf baat hawa me udane ki aadat hai...
wajah bus itni hai ki
chahta nahi falsafa-e-jindagi naakami hoo
ujaale me marne ki ek chahat kisi kone me baaki hai...
pooch naa mera pata
pooch naa mera pata..
ki mai kahi tharata nahi..
almast hoo yayavar hoo..
aaj yaha to kal waha...
ishq ki bhehosi
aajkal khoye hue hai hum
ishq ki bhehosi me...
katra -katra dooba hui
uske aankho ki madhoshi me...
Jab Jindagi ki shaam dhalne lage
Jab Jindagi ki shaam dhalne lage...
Aur tanhai tumhe apne aagosh me lene lage...
tab ek baar apne dil ke band
darwaaje pe dastak de dena...
mai phir aa jaounga...
tumhari tanha jindagi me rang bharne...
Subscribe to:
Posts (Atom)