Sunday, May 3, 2009
Mujha manjil ki talash nahi
Raste ban gaye
Jo aawaj lagayi
to kafila mil gaya
Jo manzilo ki talash me honge
Wo aur honge
Hume to manzile doodanti hai
kahne ko
main to aawara hoon
Bhatkata to hoon idhar udhar
na koi manzil na koi mahfil
Kya karoon
Yayawar jo hoon mere dosto
yayawar ko kaha
manzilo ki talash
jidhar ruka wahi uski manzil
Jidhar chala diya wahi uska rasta
Jinsa mila wahi
Uska kafila
Jidhar so gaya
wahi uska ghar
Saari duniya hai uski
Wo sari duniya ka
Mai aawara hoon
yayawar hoon mere dosto
Mujha manjil ki talash nahi!!
Mujha manjil ki talash nahi!!!!!!!!!!!!!!!
Tuesday, January 27, 2009
kya karoon
kya karoon
he sashwatpramay
do gyan ka aashish mujha
do budhi vivek
he nirvishesh nirbrahma
do sakti ka vardaan
he param pita parmeshwar
do abhaydaan
he anant mahan
kya karoon
bhatakta phir raha hoon
jeevan ke andehro me
nikla tha ghar se tujha doodhna
khud ko hi bhul gaya hoon
chahta hua tera sahara
he dayasindhu he karunakar
duniya me lalach hai naye naye
nit din phasta jata hoon
satya ki khoj me nikla tha
apni aatma ko gavata jata hoon
kripa karo
he sarveshwar
tum hi sab kuch hoon
ye maya tumhari hai
tum hi satya ho
tum hi asataya
tum hi ho in dono se mukt
tum hi ho mayapati
aur maya se virakt
tum hi ho srishti ke rachnakar
aur sanharak bhi ho tum hi hoon
tum aadi ho tum anant
kaisa karu gurgaan tumhara
tum to ho param sataya
meri vinti suno
he akhand swarup
mujko apne me mila lo
jaisa boond sagar me
kripa karoo,kripa karoo
kya karoon
do gyan ka aashish mujha
he sashwatpramay
Monday, December 22, 2008
Maun
shanti ek sannata
na sabad hai na bhav
sarvatra shanti hi shanti
maun bhi hai ek bhasha
shanti ki bhasha
khatam hota bhaya gyan
tirohit hota jaha agyan
maun me jab maun hoo
na koi kampan ho
na bhavo mein
na vicharoo me
sarvatra maun hoo
tab samjho maun hoo
par jo samjho
to phir kaha maun hoo
.maun ki hai kya paribhasha
shanti ek sannata
Umeed
Umeed hai to Zindagi hai
zindagi hai toRaste hai
raste hai to safar hai
safar hai to sukh aur dukh hai
sukh hai to khusiya hai
dukh hai to
unse ladne ki himmat hai
himmat hai
to haar hai yaa jeet
haar hai to
phir ek naya prayas hai
jeet hai to
jeena ki nayi umang hai
umang haito
phir naye raste hai
nayi manzila hai
aur yahi zindagi hai
Wednesday, November 12, 2008
Aakhir kyoun
Us raah me saath tum hi the
Mai bhramar tha jis madhuban ka
Us madhuban ke pushp tum hi the
Mai pujari tha jis mandir ka
Us mandir ki murat tum hi tha
Jis manjil ki taraf badhe kadam
Us safar me humsafar tum hi tha
Mera suna se jevaan me
Prem ka badaal banke
Barasne wale tum hi tha
Haa tum hi tha……
Phir kyoun ye humsafar
Kisi aur raah ki taraf mud gaya
Jeevan bhar ka ek sawal
Apne pheecha chod gaya.Aakhir kyoun…………………………………………
Wednesday, September 24, 2008
Mera aashiyana
बेरंग सी जिंदगी में
रंग भरने निकला हू। .
अकेला हूँ सफर में
हमसफ़र ढूँढने निकला हूँ।
आशियाना ढूँढने निकला हूँ
बेरंग सी जिंदगी में
रंग भरने निकला हू। .
ख़ुशी हो या गम
लोगो में मुस्कुराहट बाटने निकला हूँ
दूसरो के गम पर आँसू बहाने निकला हूँ
सब में प्यार बाटने निकला हूँ
दिलो से दुश्मनी
मिटाने निकला हूँ
आशियाना ढूँढने निकला हूँ
बेरंग सी जिंदगी में
रंग भरने निकला हू। .
जिधर देखता हूँ
अपने ही मिलते है
हर आशियाना अपना ही लगता है
प्यार की इस दुनिया में
नफरत का बीज
क्यों बोते है लोग
ये नफरत मिटने निकला हूँ
आशियाना ढूँढने निकला हूँ
बेरंग सी जिंदगी में
रंग भरने निकला हू।
सब में प्यार बाटने निकला हूँ
दिलो से दुश्मनी
मिटाने निकला हूँ
ये लोगो को समझाने निकला हूँ
Tuesday, September 23, 2008
sacchai ki mashal
andhkar ki nagri hai
roshni ka deep jalana hai
nikal pade ho tum jo
sacchai ki mashal liya
aaj akela ho to kya
kal hazzaro ki bheed hogi
devdar ke ped saa
hur dum sab kuch sahte rahna hai
Durdhas jeevan jeena hai
phir bhi atal rahkar apni jagah
Pahchan banani hai
andhkar ki nagri hai
roshni ka deep jalana hai
Dedicated To: Mr. Vikas Khera