Friday, July 25, 2008

Doobta suraj

ye shaam ki khamosh udasi
jaise kuch kahna chahti hai mujhse
door kahi aasmaan me doobta

hua laal suraj
doobte doobte koi
sandesha deta jaa raha hai…

sayad wo kah raha ki
ae hasne walo
has lo…

mai doob nahi raha hoon
mai to ugne ke taayaari kar raha hoon…
ek naye aabha ek nayi roshni
ek naye divas ke saath…

raat lambi hai to kya
andehra ghanghor hai
to kya hua
mrityu kahin jeevan se
vijayi ho pai hai…
bus jeena ki lalak ho
mrityu to ahsaas hai
jeevan ke hone ka…

ye andehra hi to hai
jo bodh karata hai
logo ko mera hone ka
mai kal phir aauounga
ek naye vishwaas ke saath

mai doobta hua suraj nahi

mai doobta hua suraj nahi.......................

Monday, July 21, 2008

saavan

saavan aayo…
ghumad-ghumad baadar chayo
saavan aayo…
kajrare kaare
berange badrange badar chayo
saavan aayo

dekh-dekh badara
man harshayo…
chahun dish hariyali chayo
nayi -nayi dubein ugti
nav kislay kopal pallav
dekh-dekh
sab harshit hote

chahun dish khushali chayo
saavan aayo
kahi savan sabke man ko harshata
to kisi ke nayano me
neer chalak jata
karti intjaar priyatam ka
savan man me agan laga jata
pichle baras jo savan tha manbhavan
wo ab bin pritam man me agan lagata

saavan aayo
ghumad-ghumad baadar chayo

Wednesday, June 18, 2008

jeet

jeetna hai to

jeet lo is duniya ko

verna duniya me

hazarro chehare aur bhi hai

unme ek chehra

tumhara bhi hoga

jo raat ke andheroo me

kahi kho jayega

Monday, June 16, 2008

mera ghar ka darwaja

mera ghar ka darwaja aaj bhi khula hai
tera intzaar me
tu jara aa ke to dekh
tera bistar aaj bhi vaisa hi pada hai
tera rasta dekhte mera ghar ke saaman
chahte hai wo ki koi unko sambhale
mai to khud ko sambhal bhi loo
par inko kaun sambhale
jinko hamne baago me saath lagaya tha
ki patjhad aane wali hai
aur unko teri yaad satati hai
mai to phir bhi rah loonga teri yadoon ke sahare
par in khetoo ka kya kasoor
jo har subah tere aana ki raah takte
tera jana kya hua
tera jana kya hua
khusiyon ne mere ghar
dastak dena chod diya
ab to sab yaddde hai
yaado ka kya
kuch tuti hui kasme
aur jhotha wade hai
tere liya to sayad kuch bhi nahi
mere liya to jeene ke bahane hai

mrityu hai kya

mrityu hai kya

ek nayi yatra

ek naya safar ka hai aarambh

aant ek purane kila ka

har koi rahegeer hai

yaha is safar me

har kisi ko hai jaana

jab jiska safar suru

use ya too naya janam lena

ya hai mrityu ko gale lagana

jab janam me hai khushi

to mrityu me dukh kuon?

ye bhi to hai aarambh

ek naye yatra ka

madhu ki madhushala

madhu ki madhushala me

ek din maina madhu ko piya

madhu ko peekar

maina duniya ko dekha

duniya mujhe meri badi rangeen lagi

baaki duniya badi gum geen lagi

madhu ko jo peeta hai

khud hi raja ban jata hai

madhushala me aakar raja rank

sab barabar ho jate hai
duniya me jo isko hai bura batlate

aksar raat me pekar isko

apni pyaas bujhate
madhu ki madhushala me

ek din maina madhu ko piya
sabki ichha ye puri karti

par sab ise hi bura batlate

har din botal phodi jaati hai

kasme khayi jati hai

par har raat yahi sahara banti
khusi ka sama ho

ya gamo ki ho raat

bina iska nahi banti hai baat

namaskar hai aise vastu ko

jo rakhti hai sabka khayal

deti hai sabko aaram
madhu ki madhushala me

ek dinmaina madhu ko piya .............................

do panktiya

chinta mat kar tu
tera chahne wale bahut hai
tuna jo raahein dekhayi hai
us par chalne wale bahut hai