Saturday, June 14, 2008

maa

shradha suman arpit kaise karu
kaise karu tujha naman
maa tu mujhse hai door
nahi pauchti meri aawaz
kahte hai sab
maa phir bhi sun leti hai
bacche ki pukar
shradha suman arpit kaise karu
kaise karu tujhe naman
chahta hoon paas tere aana
par dooriya bahut hai
maa meri majbooriya bahut hai
jo pankh mera hote
to udkar paas tere mai aa jaata
kyo choadkar mujhko chali gai
tujse ye prashn poochta
nahi tha yadi priya mai tujhe
janm tune mujhe kyoun diya
chahta hoon tera aanchal me chip jaana
loriya sunte hua teri goad me so jana..

jane tu kaha chali gayi
yadi tu mujhe sun sakti hai
to ek baar muje apne
aanchal ke chaav me sula de
apna sneh mujh pe barsa de

shradha suman arpit kaise karu
kaise karu tujhe naman

dedicated to my mother

1 comment:

manish said...

satya ke raste na chal dhokha milega .
jhoth ki rah chlega sab kuch badlega.
aadat na bana apni nasihaton wali.
nahi to tera naam patharon pe likha milega.