Sunday, June 8, 2008

zindagi tu jashn mana

zindagi tu jashn mana
ki tujhe ham jaisa aashiq mila
tune hame diya hi kya
dukh gham aur tanhai

ai zindagi tu phir bhi jashn mana
ki tujhe hum jaisa aashiq mila

tere har gham ko hai hamne hans kar saha
tere is kore se kagaz me
hamne apna aansoo se hai rang bhara
ghamo ka samaan ho
ya khushiyo ki baraat
ham the tanha akele
na tha koi hamare saath

ai zindagi tu jashn mana
ki tujhe ham jaisa aashiq mila

maut se hame kya gila thi
wo kabse meri raho me
bahein pasare khadi thi
ai zindagi ye to teri mohaabat hai
ki teri ek inayat ke liya
tera dar par pade rahe

zindagi tu jashn mana
ki tujhe ham jaisa aashiq mila

No comments: