Monday, June 9, 2008

ye mera man

himtung sa ujjawal
jajwalyamaan surya sa prajjwal
vyoum sa anant
man ye mera
vyapat sameer sa dig digant

chaha bandh loo semao me
pakad loo bhujao me
par ise kaha hai badhna aata
ye to udata anant dishoyan me

kabhi idhar to kabhi udhar
jana kaha kaha bhatakta

ye mera man

kaun tay karta iski disha
kabhi parvato me to kabhi vano me

kabhi madiralaya me
to kabhi shivalay me
jana kya kya rang dekhata

ye mera man

kabhi kise ko devi maankar poojta
kabhi sundarta ki murat batlata

kabhi bharmar ban phoolo par madrata
kabhi samadhi me baith param sunya me mil jata
ye mera adbhut man

No comments: